prelude
kyaa bemurawwat Kalq hai sab jamaa hai.n bismil ke paas
tanhaa meraa qaatil rahaa ko_ii nahii.n qaatil ke paas
jinake ho.nTho.n pe ha.Nsii paa.Nv me.n chhaale ho.nge
haa.N wohii log tumhe.n Dhuu.NDhane waale ho.nge
% There are some versions that carrry :-
haa.N wohii log tujhe chaahane waale ho.nge
% I personally feel "chaahane waale" part quite cheap. In any case,
% only "Dhuu.NDhane waale" goes well with the "paa.Nv me.n chhaale"
% of first line
% not part of this gazal. In "Bata Do Tum" version
andaaz apane dekhate hai.n aa_iine me.n wo
aur ye bhii dekhate hai.n ko_ii dekhataa na ho
may barasatii hai fazaa_o.n pe nashaa taarii hai
mere saaqii ne kahii.n jaam uchhaale ho.nge
unase mafahuum-e-Gam-e-ziist adaa ho shaayad
ashq jo daaman-e-mijaGaa.N ne sambhaale ho.nge
the following were not in the versions I heard
shammaa le aaye hai.n ham jalwaagah-e-jaanaa.N se
ab do aalam me.n ujaale hii ujaale ho.nge
ham ba.De naaz se aaye the terii mahafil me.n
kyaa Kabar thii lab-e-izahaar pr taale ho.nge
|