shabaab-e-raftaa kii ab ko_ii yaadagaar nahii.n
bahaar me.n bhii wo ra.ngiinii-e-bahaar nahii.n
kabhii hayaat kii zaamin kabhii wasiilaa-e-marg
nigaah-e-dost teraa ko_ii etabaar nahii.n
bahaar asl me.n hotii hai dil kii shaadaabii
nazar ke saamane jo kuchh hai wo bahaar nahii.n
tere jamaal kaa jab tak na iznu mil jaaye
kisii charaaG ko jalane kaa iKtiyaar nahii.n
hayaat me.n ko_ii tuufaan aane waalaa hai
bahut dino.n se ko_ii mauj beqaraar nahii.n
wo ab bhii mujhase hai.n naaraaz kyaa karuu.N 'raanaa'
salaam karane kaa unako gunaahagaar nahii.n
|