giitaayan An Interface to ISB

sa.nsaar hai ik nadiyaa, sukh-dukh do kinaare hai.n - Raftaar (1975)  

Lyrics: Abhilash | Music: Sonik-Omi | Singer(s): Mukesh, Asha 
View in Nagari (Hindi)
sa.nsaar hai ik nadiyaa, duHkh-sukh do kinaare hai.n na jaane kahaa.N jaae.n, ham bahate dhaare hai.n chalate hue jiivan kii, raftaar me.n ik lay hai ik raag me.n ik sur me.n, sa.Nsaar kii har shay hai sa.Nsaar kii har shay hai ... ik taar pe gardish me.n, ye chaa.Nd sitaare hai.n dharatii pe ambar kii aa.Nkho.n se barasatii hai ik roz yahii buu.Nde.n, phir baadal banatii hai.n -2 is banane biga.Dane ke dastuur me.n saare hai.n koii bhii kisii ke li_e, apanaa na paraayaa hai risshte ke ujaale me.n, har aadamii saayaa hai -2 kudarata ke bhii dekho to, ye khel puraane hai.n hai kaun vo duniyaa me.n, na paap kiyaa jisane bin ulajhe kaa.Nto.n se, hai.n phuul chune kisane hai.n phuul chune kisane ... be-daag nahii.n koii, yahaa.N paapii saare hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.