wo dil-nawaaz hai.n lekin nazar shanaas nahii.n
meraa ilaaj mere chaaraagar ke paas nahii.n
kabhii kabhii jo tere kurb me.n guzaare the
ab un dino.n kaa tasavvur bhii mere paas nahii.n
guzar rahe hai.n ajab marahalo.n se diidaa-o-dil
sahar kii aas to hai zi.ndagii kii aas nahii.n
mujhe ye Dar hai terii aarazuu na miT jaaye
bahut dino.n se tabiiyat merii udaas nahii.n
tere dilo.n me.n bhii dil kaa.Np kaa.Np uThataa hai
mere majaaj ko aasuudagii bhii raas nahii.n
ta.Dap rahe hai.n zabaa.N par ka_ii sawaal magar
mere liye ko_ii shaayaan-e-iltamaas nahii.n
|