ye shab-e-firaaq ye bebasii hai.n kadam kadam pe udaasiyaa.N
meraa saath ko_ii na de sakaa merii hasarate.n hai.n dhuwaa.N dhuwaa.N
mai.n ta.Dap ta.Dap ke jiyaa to kyaa mere Kaab mujahse bichha.D gaye
mai.n udaas ghar kii sadaa sahii mujhe de na ko_ii tasalliyaa.N
chalii.n aisii dard kii aa.Ndhiyaa.N mere dil kii bastii uja.D ga_ii
ye jo raakh sii hai bujhii bujhii hai.n isii me.n merii nishaaniyaa.N
ye fizaa jo gard-o-gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
mai.n wo phuul huu.N jo na khil sakaa merii zi.ndagii me.n wafaa kahaa.N
'hasan' aisii jag me.n hawaa chale jo u.Daa ke mujhako bhii le chale
mai.n wahii.n pe umr guzaar duu.N jahaa.N mere yaar kaa aastaa.N
|