giitaayan An Interface to ISB

saa.Nso.n kii zaruurat hai jaise, zi.ndagii ke liye - Aashiqui (1990)  

Lyrics:  | Music: Nadeem-Shravan | Singer(s): Kumar Sanu, Anuradha Paudwal 
View in Nagari (Hindi)
saa.Nso.n kii zaruurat hai jaise - (2) zi.ndagii ke liye - (2) bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye (jaam kii zaruurat hai jaise - 2), bekhudii ke liye haa.N ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye vaqt ke haatho.n me.n sabakii taqadiire.n hai.n - (2) aaInaa jhuuThaa hai sachchii tasaviire.n hai.n jahaa.N dard hai vahii.n giit hai jahaa.N pyaas hai vahii.n miit hai koI naa jaane magar jiine kii yahii riit hai (saaz kii zaruurat hai jaise -2), mausiqii ke liye bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye ho ho ho ho ho ho ho - (2) ma.nzile.n haasil hai.n phir bhii ek duurii hai binaa hamaraahii ke zi.ndagii adhuurii hai milegii kahii.n koI rahaguzar tanhaa kaTegaa kaise ye safar mere sapane ho jahaa.N DhuunDhuu.N mai.n aisii nazar (chaa.nd kii zaruurat hai jaise -2), chaa.ndanii ke liye bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.