giitaayan An Interface to ISB

suhaanii raat Dhal chukii, naa jaane tum kab aaoge - Dulari (1949)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
(suhaanii raat Dhal chukii naa jaane tum kab aaoge ) - 2 jahaa.N kii rut badal chukii .a .a .a naa jaane tum kab aaoge nazaare .a .a .a apanii mastiyaa.n dikhaa dikhaa ke so gaye sitaare .a .a .a apanii raushanii luTaa luTaa ke so gaye har ek shammaa jal chukii naa jaane tum kab aaoge suhaanii raat Dhal chukii ... ta.Dap rahe hai.n ham yahaa.N - 2 tumhaare i.ntazaar me.n - 2 (khizaa kaa ra.ng, aa chalaa hai mausam-e-bahaar me.n ) - 2 mausam-e-bahaar me.n havaa bhii rukh badal chukii .a .a .a naa jaane tum kab aaoge suhaanii raat Dhal chukii naa jaane tum kab aaoge
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.