giitaayan An Interface to ISB

tujhe jiivan kii Dor se, baa.Ndh liyaa hai, terii zulm\-o\-sitam - Asli Naqli (1962)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
rafii: tujhe jiivan kii Dor se, baa.Ndh liyaa hai, baa.Ndh liyaa hai tere zulm-o-sitam, sar aa.Nkho.n par lataa: maine badale me.n pyaar ke, pyaar diyaa hai, pyaar diyaa hai terii khushiyaa.N aur gam, sar aa.Nkho.n par rafii: tujhe jiivan kii ... (apsaraa koI aae to dekhuu.N nahii.n koI bahakaaye ha.nsake to bahakuu.N nahii.n ) - 2 tore matavaare naino.n ne, jaaduu kiyaa o ... tore matavaare naino.n ne, jaaduu kiyaa terii ulfat sanam sar aa.Nkho.n par ... (mere jiivan kii anamiT kahaanii hai tuu merii taqadiir aur zi.ndagaanii hai tuu ) - 2 liye firate hai.n sabase chhupaaye hue o ... liye firate hai.n sabase chhupaaye hue terii tasaviir ham sar aa.Nkho.n par ... chaa.ND suuraj bhii hai.n terii parachhaa_iyaa.N tujh se roshan huii dil kii gaharaa_iyaa.N tere chehare kii jhilamil se ma.nzil milii o tere chehare kii jhilamil se ma.nzil milii aisii pyaarii puunam sar aa.Nkho.n par ... (dono): tujhe jiivan kii Dor se, baa.Ndh liyaa hai, baa.Ndh liyaa hai tere zulmo-sitam, sar aa.Nkho.n par
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.