giitaayan An Interface to ISB

ai qaatib\-e\-taqadiir mujhe itanaa bataa de - Meri Bahen/ My Sister (1944)  

Lyrics: Pt. Bhushan | Music: Pankaj Mullick | Singer(s): Saigal 
View in Nagari (Hindi)
ai qaatib-e-taqadiir mujhe itanaa bataa de -2 kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai auro.n ko khushii mujhako fakat dard-o-ra.nj-o-Gam duniyaa ko ha.Nsii aur mujhe ronaa diyaa hai kyaa mai.nne kiyaa hai -2 kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai hisse me.n sabake aa_ii hai.n... hisse me.n sabake aa_ii hai.n ra.Ngiin bahaare.n bad-faqtiyaa.N lekin mujhe shiishe me.n utaare.n piite hai.n piite hai.n rog roz-o-shab muzzarrato.n kii may mai.n huu.N ke sataa khuun-e-jigar mai.nne piyaa hai kyaa mai.nne piyaa hai kyaa mai.nne piyaa hai thaa jinake dumak dam se ye aabaad aashiyaa.n ho chahachahaatii ho chahachahaatii bulabule.n jaane ga_ii kahaa.N juganuu kii chamak hai na sitaaro.n kii roshanii is ghup a.ndhere me.n hai merii jaan par banii kyaa thii kyaa thii kyaa thii bataa ke jisakii sazaa tuune mujhako dii kyaa thaa kyaa thaa gunah ke jisakaa badalaa mujhase liyaa hai kyaa mai.nne kiyaa hai kyaa mai.nne kiyaa hai kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.