tuu cha.ndaa mai.n chaa.ndanii, tuu taruvar mai.n shaakh re
tuu baadal mai.n bijurii, tuu pa.nchhii mai.n paat re
naa sarovar, naa baava.Dii, naa koI Tha.nDii chhaa.nv
naa koyal, naa papiiharaa, aisaa meraa gaa.nv re
kahaa.N bujhe tan kii tapan, o saiyaa.n siramol(?)
cha.ndra-kiran to chho.D kar, jaae kahaa.N chakor
jaag uThii hai saa.nvare, merii kuaa.nrii pyaas re
(piyaa) a.ngaare bhii lagane lage aaj mujhe madhumaas re
tujhe aa.nchal mai.n rakhuu.Ngii o saa.nvare
kaalii alako.n se baa.Ndhuu.Ngii ye paa.nv re
chal baiyaa.N vo Daaluu.n kii chhuuTe nahii.n
meraa sapanaa saajan ab TuuTe nahii.n
me.nhadii rachii hatheliyaa.N, mere kaajar-vaale nain re
(piyaa) pal pal tujhe pukaarate, ho ho kar bechain re
o mere saavan saajan, o mere si.nduur
saajan sa.ng sajanii banii, mausam sa.ng mayuur
chaar pahar kii chaa.ndanii, mere sa.ng biThaa
apane haatho.n se piyaa mujhe laal chunar u.Dhaa
kesariyaa dharatii lage, ambar laalam-laal re
a.ng lagaa kar saahib re, kar de mujhe nihaal re
|