##slow##: ulfat me.n, zamaane kii ...
har rasm ko, ThukarAo ...
ulfat me.n zamaane kii, har rasm ko ThukarAo
phir saath mere aao o
ulfat me.n zamaane kii ...
qadamo.n ko nA rokegii, za.njIr rivaazo.n kii
ham to.D ke nikale.nge, diivaar samaajo.n kii
duurii pe sahii ma.nzil, duurii se, nA ghabaraao
ulfat me.n zamaane kii ...
mai.n apanii bahAro.n ko, ra.ngiin bana luu.Ngaa
sau baar tumhe.n apanii, palako.n pe biThaa luu.Ngaa
shabanam kii tarah mere, gulashan me.n, bikhar jaao
ulfat me.n zamaane kii ...
aa jaao ke jiine ke, haalaat badal Daale.n
ham tum zamaane ke, din raat badal Daale.n
tum merI vafaao.n kii, ek baar, qasam khaao
ulfat me.n zamaane kii ...
## Lata Version ##
ulfat me.n zamaane kii, har rasm ko Thukaraao
phir saath mere aao, phir saath mere aao
ulfat me.n zamaane kii ...
duniyaa se bahut aage jis bhii.D me.n ham ho.nge
ye soch lo pahale se har bhii.D me.n Gam ho.nge
hai Khauf Gamo.n se to ruk jaao, Thahar jaao
phir saath mere aao, phir saath mere aao
mai.n TuuTii hu_ii kashtii Khud paar lagaa luu.Ngii
tuufaan ko maujo.n kii patavaar banaa luu.Ngii
majhadhaar kaa Dar hai to saahil pe Thahar jaao
phir saath mere aao, phir saath mere aao
dil aur kahii.n dekar tum chaahe badal jaao
do chaar qadam chal kar mumkin hai bahak jaao
phir saath mere aao, phir saath mere aao
|