giitaayan An Interface to ISB

vo subah kabhii to aayegii, vo subah kabhii to aayegii - Phir Subah Hogi (1958)  

Lyrics: Sahir | Music: Khayyam | Singer(s): Mukesh, Asha 
View in Nagari (Hindi)
##Part 1## vo subah kabhii to aaegii, vo subah kabhii to aaegii in kaalii sadiyo.n ke sar se, jab raat kaa aa.Nchal Dhalakegaa jab dukh ke baadal pighale.nge, jab sukh kaa saaGar chhalakegaa jab ambar jhuum ke naachegaa, jab dharatii naGame gaaegii vo subah kabhii to aaegii ... jis subah kii Khaatir jug-jug se ham sab mar-mar_kar jiite hai.n jis subah ke amR^it kii dhun me.n, ham zahar ke pyaale piite hai.n in bhuukhii pyaasii ruuho.n par ek din to karam faramaaegii vo subah kabhii to aaegii ... maanaa ki abhii tere mere aramaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar inasaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n inasaano.n kii izzat jab jhuuThe sikko.n me.n na tolii jaaegii vo subah kabhii to aaegii ... ##Part 2## daulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaaegaa chaahat ko na kuchalaa jaaegaa, Gairat ko na bechaa jaaegaa apane kaale karatuuto.n par jab ye duniyaa sharamaaegii vo subah kabhii to aaegii ... biite.nge kabhii to din aaKhir ye bhuukh ke aur bekaarii ke TuuTe.nge kabhii to but aaKhir daulat kii ijaaraagaarii ke jab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaaii jaaegii vo subah kabhii to aaegii ... majabuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.Nkegaa maasuum la.Dakapan jab gandii galiyo.n me.n bhiikh na maa.Ngegaa haq maa.Ngane vaalo.n ko jis din suulii na dikhaaii jaaegii vo subah kabhii to aaegii ... faaqo.n kii chitaao.n par jis din inasaa.N na jalaae jaae.Nge siino.n ke dahakate dozaKh me.n aramaa.N na jalaae jaae.Nge ye narak se bhii gandii duniyaa jab svarg banaaii jaaegii vo subah kabhii to aaegii ... ##Part 3## jab dharatii karavaT badalegii, jab qaid se qaidii chhuTe.nge jab paap gharau.nde phuuTe.nge, jab zulm ke ba.Ndhan TuuTe.nge jelo.n ke binaa jab duniyaa kii sarakaar chalaaii jaaegii us subah ko ham hii laae.Nge, vo subah hamii.n se aaegii vo subah hamii.n se aaegii, vo subah hamii.n se aaegii ## The following two verses may not have been recorded for the movie. ## ## They appear in the original nazm, included in Sahir's Kulliyaat. ## manahuus samaajii Dhaa.Ncho.n me.n jab zulm na paale jaae.Nge jab haath na kaaTe jaae.Nge jab sar na uchhaale jaae.Nge jelo.n ke binaa jab duniyaa kii sarakaar chalaaii jaaegii vo subah hamii.n se aaegii sa.nsaar ke saare mehanat_kash kheto.n se milo.n se nikale.nge beghar, bedar, bebas insaa.N taariik bilo.n se nikale.nge duniyaa amn aur Khush_haalii ke phuulo.n se sajaaii jaaegii vo subah hamii.n se aaegii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.