giitaayan An Interface to ISB

ye raat ye chaa.Ndanii phir kahaa.N sun jaa dil kii daastaa.N - Jaal (1952)  

Lyrics: Sahir | Music: S D Burman | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
ye raat ye chaa.Ndanii phir kahaa.N sun jaa dil kii daastaa.N ye raat... pe.Do.n kii shaakho.n pe soii soii chaa.Ndanii tere khayaalo.n me.n khoii khoii chaa.Ndanii aur tho.Dii der me.n thak ke lauT jaaegii raat ye bahaar kii phir kabhii na aaegii do ek pal aur hai ye samaa, sun jaa... laharo.n ke ho.nTho.n pe dhiimaa dhiimaa raag hai bhiigii havaao.n me.n Tha.nDii Tha.nDii aag hai is hasiin aag me.n tuu bhii jalake dekhale zi.ndagii ke giit kii dhun badal ke dekhale khulane de ab dha.Dakano.n kii zubaa.N, sun jaa... jaatii bahaare.n hai.n uThatii javaaniyaa.N taaro.n ke chhaao.n me.n pahale kahaaniyaa.N ek baar chal diye gar tujhe pukaarake lauTakar na aae.nge qaafile bahaar ke aajaa abhii zi.ndagii hai javaa.N, sun jaa...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.