giitaayan An Interface to ISB

yuu.N to hamane laakh hasii.n dekhe hai.n, tumasaa nahii.n dekhaa - Tumsaa Nahin Dekhaa (1957)  

Lyrics: Sahir | Music: O P Nayyar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
(yuu.N to hamane laakh hasii.n dekhe hai.n tumasaa nahii.n dekhaa ho, tumasaa nahii.n dekhaa) -2 uf ye nazar uf ye adaa kaun na ab hogaa fidaa zulfe.n hai.n yaa badaliyaa.n aa.Nkhe.n hai.n yaa bijaliyaa.n jaane kis kisakii aaegii kazaa yuu.N to hamane laakh hasii.n dekhe hai.n ... (tum bhii hasii.n rut bhii hasii.n aaj ye dil bas me.n nahii.n) -2 raaste Kaamosh hai.n dha.Dakane madahosh hai.n piye bin aaj hame.n cha.Dhaa hai nashaa yuu.N to hamane laakh hasii.n dekhe hai.n ... tum na agar bologe sanam mar to nahii.n jaae.Nge ham kyaa parii yaa huur ho itanii kyuu.N maGaruur ho maan ke to dekho kabhii kisiikaa kahaa yuu.N to hamane laakh hasii.n dekhe hai.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.