giitaayan An Interface to ISB

zamaane me.n ajii aise ka_ii naadaan hote hai.n - Jeewan Mrityu (1970)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
zamaane me.n ajii aise ka_ii naadaan hote hai.n vahaa.N le jaate hai.n kashtii jahaa.N tuufaan hote hai.n shamaa kii bazm me.n aa kar ke paravaane samajhate hai.n yahii.n par umr guzaregii yah diivaane samajhate hai.n magar ik raat ke yah to faqat mehamaan hote hai.n zamaane me.n ... mohabbat sabakii mahfil me.n shamaa ban kar nahii.n jalatii hasiino.n kii nazar sab pe chhurii ban kar nahii.n chalatii jo hai.n taqadiir vaale bas vahii qurbaan hote hai.n zamaane me.n ... Dubo kar duur saahil se nazaaraa dekhanevaale lagaa kar aag chup ke se tamaashaa dekhanevaale tamaashaa aap banate hai.n to kyo.n hairaan hote hai.n zamaane mei.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.