giitaayan An Interface to ISB

zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re - Madhumati (1958)  

Lyrics: Shailendra | Music: Salil Chowdhury | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re sakhii mai.n kaa se kahuu.N, rii sakhii kaa se kahuu.N jaane kaise ye baat ba.Dhii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re ... vo chhup chhupake bansarii bajaaye, vo chhup chhupake bansarii bajaaye re vo chhup chhupake bansarii bajaaye, sunaaye mujhe mastii me.n Duubaa huaa raag re mohe taaro.n kii chhaa.Nv me.n bulaaye, churaaye merii ni.ndiyaa, mai.n rah jaauu.N jaag re, lage din chhoTaa, raat ba.Dii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re ... baato.n baato.n me.n rog ba.Dhaa jaaye, baato.n baato.n me.n rog ba.Dhaa jaaye re, baato.n baato.n me.n rog ba.Dhaa jaaye, hamaaraa jiyaa ta.Dape kisiike liye shaam se, meraa paagalapanaa to koii dekho, pukaaruu.N mai.n cha.ndaa ko saajan ke naam se, phirii man pe jaaduu kii chha.Dii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.