giitaayan An Interface to ISB

aa.Nkho.n kaa taaraa, praaNo.n se pyaaraa - Aansoo (1953)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa jug jug jiye meraa laal re merii umariyaa mil jaaye tujhako jiita rahe sau saal re aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa ... pahale baras meraa nanhaa saa raajaa kuu.N kuu.N muu.N muu.N bole duuje baras bole roTii ko loTii maiyyaa kaa dil Dole re maa.Nge khilaune gaa.Dii gho.De jabake lage tiijaa saal re aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa ... chauthe baras khele gillii DaNDaa paise maa.N se maa.Nge re naTakhaT raajaa maa.N ko sataaye maa.N piichhe vo aage re ho~ o~ o~ o~ paaThashaalaa baabuu banakar jaaye meraa laal re aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa ... khushiyo.n kii kiraNe.n phailaaye jag me.n puunam kaa cha.ndaa hamaaraa re bole baabul laa de dulhaniyaa beTaa javaahar hamaaraa re o merii maiyyaa laal dushaalaa beTaa chalaa sasuraal re aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.