giitaayan An Interface to ISB

aap aaye to Kayaal-e-dil-e-naashaad aayaa - Gumrah (1963)  

Lyrics: Sahir | Music: Ravi | Singer(s): Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
aap aaye to Kayaal-e-dil-e-naashaad aayaa kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa aap aaye ... aap ke lab pe kabhii apanaa bhii naam aayaa thaa shokh nazaro.n se muhabbat kaa salaam aayaa thaa umr bhar saath nibhaane kaa payaam aayaa thaa aapako dekh ke vo ahad-e-vafaa yaad aayaa kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa aap aaye ... ruuh me.n jal uThe bujhatii huii yaado.m ke diye kaise diivaane the ham aapako paane ke liye yuu.N to kuchh kam nahii.n jo aapane ahasaan kiye par jo maa.Nge na paayaa vo silaa yaad aayaa kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa aap aaye ... aaj vo baat nahii.n phir bhii koii baat to hai mere hisse me.n ye halkii sii mulaaqaat to hai Gair kaa ho ke bhii ye husn mere saath to hai haay kis vaqt mujhe kab kaa gilaa yaad aayaa kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa aap aaye ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.