giitaayan An Interface to ISB

kabhii ruk gaye to - Rahgir (1968)  

Lyrics: Gulzar | Music: Hemant | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
kabhii ruk gaye hai.n kabhii chal diye na jaane kise Dhuu.NDate hai.n safar me kise kho diyaa thaa na jaane Dagar me na jaane kise Dhuu.NDate hai.n safar me akele rahe.n zi.ndagii bhar akele na dil saath aayaa na Gam saath aaye yahii raaste.n jinakii ma.nzil nahii.n thii yahii saath the bas yahii saath aaye kabhii ruk gaye hai.n ... kabhii maa.Ng kar le liye Gam kisii kii kabhii apane Gam kar diye hai.n paraaye ye bedard yaade.n ye hamdard aa.Nsuu ba.Dii duur tak chho.Dane saath aaye kabhii ruk gaye hai.n ... kinaaraa milaa jo kinaaraa nahii.n thaa bahaanaa thaa ko_ii sahaaraa nahii.n thaa yahii ek dil jisako samajhe the apanaa na jaane thaa kisakaa hamaaraa nahii.n thaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.