giitaayan An Interface to ISB

rahatii nahii.n hameshaa - Teerandaaz (1955)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata, chorus 
View in Nagari (Hindi)
la: rahatii nahii.n hameshaa, ye chaa.Nd kii jawaanii jii bhar ke aish kar le ko: jii bhar ke aish kar le la: jab tak hai zi.ndagaanii, jab tak ye zi.ndagaanii ko: aa aa aa la: guzare jo mastiyo.n me.n achchhii vahii gha.Dii hai varanaa ajal to kab se piichhe tere kha.Dii hai ko: aa aa aa la: jab tak chale chalaa le ye saa.Ns kii kahaanii jii bhar ke aish kar le ko: jii bhar ke aish kar le la: jab tak hai zi.ndagaanii, jab tak ye zi.ndagaanii ko: aa aa aa la: ye Kaab hai sunaharaa, ra.Ngiin hai ye dhokaa mat chho.D zi.ndagii kaa koii hasiin maukaa aayegaa haath phir naa, bahataa huaa ye paanii jii bhar ke aish kar le ko: jii bhar ke aish kar le la: jab tak hai zi.ndagaanii jab tak ye zi.ndagaanii ko: aa aa aa la: rahatii nahii.n hameshaa, ye chaa.Nd kii jawaanii jii bhar ke aish kar le ko: jii bhar ke aish kar le jab tak hai zi.ndagaanii jab tak ye zi.ndagaanii aa aa aa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.