ko_ii mujhe raat ko yaad kare -2
taaro.n ke jhuramuT me aa kar
wo milane kii fariyaad kare
ko_ii mujhe raat ko yaad kare ...
wo kahe gagan pe aa jaa_o
ye taare.n mujhe Daraate hai.n
ham naam tumhaaraa lete hai
ye aur mujhe dhamakaate hai
ye chaa.Nd bhii terii chaahat ko -2
na jaane kyuu.N barabaad kare
ko_ii mujhe raat ko yaad kare ...
(mai.N chup thaa pa.nchhii bol uThe
aur wo fariyaadii ruuTh gayaa) -2
wo ruuThe dil pe choT lagii
mai.N chaukaa sapnaa TuuT gayaa
ab rotaa huu.N kab raat pare -2
fariyaadi phir fariyaad kare
ko_ii mujhe raat ko yaad kare ...
pahale to gagan jalaa Daaluu.N
phir puuchuu.N chaa.Nd sitaaro.n se
kyaa bair hai tumako ulafat se
aur ham ulfat ke maaro se
mai.N chaa.Nd ko girahan lag ja_uu.N -2
har taaraa ye fariyaad kare
ko_ii mujhe raat ko yaad kare ...
|