giitaayan An Interface to ISB

raushanii apanii uma.ngo.n kii - Nadan (1943)  

Lyrics: Zia Sarhadi | Music: K Datta | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
raushanii apanii uma.ngo.n kii luTaa kar chal diye-2 apanii qismat ke diye ham Kud bujhaa kar chal diye-2 raushanii apanii uma.ngo.n kii luTaa kar chal diye jinase milane kii du_aa karate rahe ham umr bhar jab vo pahu.Nche ham nazar apanii jhukaa kar chal diye raushanii apanii uma.ngo.n kii luTaa kar chal diye vo terii qismat se ban jaataa hai dushman teraa dost aa.a.a.a.a vo terii qismat se ban jaataa hai dushamn teraa dost ham yahaa.N har dost ko dushman banaa kar chal diye dekhane aur sunane vaalo.n ko pasa.nd aa_e naa aa_e-2 jo kisii dil kii kahaanii ham sunaa kar chal diye-2 raushanii apanii uma.ngo.n kii luTaa kar chal diye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.