giitaayan An Interface to ISB

pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa - Mukti (1977)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
mil jaatii hai sa.nsaar me.n sa.nsaar se muktii milatii nahii.n marake bhii magar pyaar se muktii pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa jo musaafir ke baad rahataa hai pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa jo musaafir ke baad rahataa hai bhuul jaate hai.n log sab lekin kuchh naa kuchh phir bhii yaad rahataa hai pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa rok letii hai.n raah me.n yaade.n jab bhii raaho.n se ham guzarate hai.n /- 2 kho gaye qahaqaho.n me.n jo gham wo aa.Nsu_o.n me.n talaash karate hai.n dil pe halakii sii choT lagatii hai dard aa.Nkho.n se TuuT bahataa hai pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa kuchh bhii to kam nahii.n hu_aa dekho jashn hai.n phuul hai.n bahaare.n hai.n /- 2 tum nahii.n ho magar tum hii tum ho sab tumhaarii hii yaadagaare.n hai.n TuuT jaane se TuuT jaate hai.n dil ke rishte ye kaun kahataa hai pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa ye Galat hai kii marane waalo.n ko /- 2 zi.ndagii se nijaat milatii hai ye Galat hai kii marane waalo.n ko zi.ndagii se nijaat milatii hai is bahaane se Gam ke maaro.n ko aur lambii hayaat milatii hai maanaa za.njiire.n TuuT jaatii hai.n aadamii phir bhii qaid rahataa hai bhuul jaate hai.n log sab lekin kuchh naa kuchh phir bhii yaad rahataa hai pyaar hai ik nishaan qadamo.n kaa jo musaafir ke baad rahataa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.