giitaayan An Interface to ISB

ik baat kahuu.N gar maano tum - Golmaal (1979)  

Lyrics: Gulzar | Music: R D Burman | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(ik baat kahuu.N gar maano tum sapano.n me.n na aanaa jaano tum mai.n nii.nd me.n uThakar chalatii huu.N jab dekhatii huu.N sach maano tum) - 2 kal bhii hu_aa ki tum guzare the paas se tho.De se anamane, tho.De udaas se bhaagii thii manaane nii.nd me.n lekin sofe se gir pa.Dii haa haa haa haa ik baat kahuu.N gar maano tum sapano.n me.n na aanaa jaano tum mai.n nii.nd me.n uThakar chalatii huu.N jab dekhatii huu.N sach maano tum paraso.n kii baat hai tumane bulaayaa thaa tumhaare haath me.n cheharaa chhupaayaa thaa chuumaa thaa haath ko nii.nd me.n lekin paayaa pala.ng kaa thaa haa haa haa haa ik baat kahuu.N gar maano tum sapano.n me.n na aanaa jaano tum us din bhii raat ko tum Kwaab me.n mile aur Kwaah-ma-Kwaah ke bas karate rahe gile kaash phir nii.nd aur Kwaab ke yuu.N hii chalate rahe.n silasile ik baat kahuu.N gar maano tum sapano.n me.n na aanaa jaano tum mai.n nii.nd me.n uThakar chalatii huu.N jab dekhatii huu.N sach maano tum laa laa laa laa laa laa laa laa laa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.