giitaayan An Interface to ISB

palako.n ke tale - Sailaab (1990)  

Lyrics: Javed Akhtar | Music: Bappi Lahiri | Singer(s): Amit Kumar, Kavita Krishnamurthy 
View in Nagari (Hindi)
amit: (palako.n ke tale jo sapane pale jaanam vo sapane to sach ho gaye)-2 (ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa hamaaraa tumako to honaa hii thaa)-2 jaan-e-jaa.N jaanaan-e-jaa.N kavitaa: (dil kii raaho.n me.n terii baa.Nho.n me.n aaye ham to jaanam ham kho gaye)-2 (ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa tumhaaraa hamako to honaa hii thaa)-2 jaan-e-jaa.N jaanaan-e-jaa.N amit: ye aasamaa.N hai ki tuune laharaayaa hai niilaa aa.Nchal dharatii hasii.n hai ki tuune jhanakaa_ii hai terii paayal kavitaa: tere pyaar ke ye baadal ghane barase to dil ke sau Gam dho gaye amit: ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa hamaaraa tumako to honaa hii thaa kavitaa: ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa tumhaaraa hamako to honaa hii thaa kavitaa: jaan-e-jaa.N amit: jaanaan-e-jaa.N kavitaa: resham-sii hai.n narm raahe.n chhaaye hai.n phuulo.n ke saaye aisii nashiilii fizaa me.n dil kyo.n bahakane lagaa hai amit: dekho ye nashaa hai ba.Dhane lagaa jaan-e-man jaan-e-man ham to gaye kavitaa: ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa tumhaaraa hamako to honaa hii thaa amit: ye hu_aa hai jo vo honaa hii thaa hamaaraa tumako to honaa hii thaa amit: jaan-e-jaa.N kavita: jaanaan-e-jaa.N amit: saa.Nso.n me.n basane lagii hai terii ku.Nvaarii sii Kushabuu kavitaa: mar jaa_uu.Ngii sharm se mai.n mujhako na dekh is tarah tuu amit: paas aao sanam kavitaa: o tumako hai qasam amit: aao bhii kavitaa: jaao bhii ham so gaye amit: jaanaan-e-jaa.N kavita: jaanaan-e-jaa.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.