he/be: tum kahaa.N pe kho gaye ham yahaa.N pe kho gaye
dil ke daaG aaj ham aa.Nsuuo.n se dho gaye
tum kahaa.N pe kho gaye ...
be: o~ beKabar sun zaraa sun zaraa
o~ jaadugar luuTe dil kyuu.N meraa
(raat kii Kushii me.n tuu
pyaar kii Kushii me.n tuu) -2
dard se bharii hu_ii
har tarf hai zi.ndagii
he/be: tum kahaa.N pe kho gaye ...
he: o~ hamsafar hai kidhar lauT aa
haay chho.D kar kyuu.N mujhe chal diyaa
(nigaahe.n Dhuu.NDhatii hai.n ab
kahaa.N gayaa wo kaaravaa.N) -2
jisake saath chal pa.De
leke pyaar kaa jahaa.N
he/be: tum kahaa.N pe kho gaye ...
be: o~ raazadaa.N dekh din Dhal gayaa
he: o~ yaad kar wo qasam aa bhii jaa
he/be: (ai nadii kii mauj aa
ai hawaa tuu sun zaraa) -2
ai chaman kii gulabahaar
hai kahaa.N wo tuu bataa
tum kahaa.N pe kho gaye ...
|