pyaar kii nishaaniyaa.N
guzarii huii kahaaniyaa.N
kab se rulaa rahii hame.n
tumhaarii meharabaaniyaa.N
aa.Nkho.n kii aarazuu ho tum
ma.nzil kii justajuu ho tum
phir bhii beKabar ho tum
kar rahe naadaaniyaa.N
ai shamaa bataa zaraa
kyaa hai jalane me.n mazaa
aataa nahii.n nazar dhuaa.N
jal rahii javaaniyaa.N
pyaar kii nishaaniyaa.N