giitaayan An Interface to ISB

laakh parado.n me.n rahuu.N - (Non-film)  

Lyrics: Qateel Shifai | Music: Altaf Hussain | Singer(s): Mehdi Hassan 
View in Nagari (Hindi)
laakh parado.n me.n rahuu.N, bhed mere kholatii hai shaayarii sach bolatii hai mai.nne dekhaa hai ke jab merii zubaa.N Dolatii hai shaayarii sach bolatii hai teraa isaraar ke chaahat merii betaab na ho vaaqif is Gam se meraa halqaa-e-ahabaab na ho tuu mujhe zabt ke saharaao.n me.n kyuu.N rolatii hai shaayarii sach bolatii hai... % isaraar = insistence % halqaa-e-ahabaab = circle of friends % ye bhii kyaa baat ke chhup chhup ke tujhe pyaar karuu.N gar ko_ii puuchh bhii baiThe to mai.n inakaar karuu.N jab kisii baat ko duniyaa kii nazar tolatii hai shaayarii sach bolatii hai mai.nne is fikr me.n kaaTii.n ka_ii raate.n ka_ii din mere shero.n me.n teraa naam na aaye lekin jab terii saa.Ns merii saa.Ns me ras gholatii hai shaayarii sach bolatii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.