giitaayan An Interface to ISB

baat merii suniye to zaraa - Kuch Naa Kaho (2003)  

Lyrics: Javed Akhtar | Music: Shankar-Ehsaan-Loy | Singer(s): Shankar Mahadevan, Mahalaxmi 
View in Nagari (Hindi)
sha.nkar: baat merii suniye to zaraa baat merii suniye to zaraa merii baat sunake ye bataaiye ki isake baare me.n hai aapakaa Kayaal kyaa itnaa kyo.n Guruur aap me.n hai itanaa aap me.n hai naaz kisaliye bataaiye ye hai kisane ye sikhaayaa aapako ki jo bhii tumako chaahe jo bhii tumako pyaar se mile usii se tum raho Kafaa Kafaa mahaalaxmii: baat merii suniye to zaraa aise ham nahii.n hai.n lekin ham agar ho.n aise bhii to isame.n kyaa huaa kyo.n naa ho Guruur hamako kyo.n naa hamako naaz ho ki ham hasiin logo.n kii hii Thokaro.n me.n hai zamaanaa jisako dekhiye hamaaraa hai diiwaanaa ham kisii kaa dil bhii to.D de.n kisii ko aadhe raaste me.n chho.D de.n to usako bhii ye duniyaa kahatii hai adaa (he he he aapakaa jawaab mil gayaa ho ho ho kahiye kaisaa aapako lagaa) sha.nkar: baat merii suniye to zaraa aaj sun hii liijiye ki kyaa hai husn aapakaa kyaa hai aapakii adaa aap ke har ek sitam ko hamane hii adaa kahaa aur aap kii har ek adaa ko ha.Nsake hamane hii sahaa hamane hii zaraa sii ek baat ko ba.Dhaa ke daastaan kar diyaa hai hamane hii to husn kii zamiin ko aasamaan kar diyaa hai duniyaa me.n jo aapkaa ye husn bemisaal hai to isame.n bhii hamaare ishq kaa hii to kamaal hai agar hamii.n na hote isakaa kaun sochtaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.