giitaayan An Interface to ISB

jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-man kisii kaa naam nahii.n - Jaan-e-Man (1976)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
jaan-e-man, jaan-e-man jaan-e-man, jaan-e-man jaan-e-man kisii kaa naam nahii.n phir bhii ye naam ho.nTho.n pe na ho aisii koii subah nahii.n, shaam nahii.n jaan-e-man jaan-e-man ... mai.n ne sif.r Kayaalo.n me.n Kvaabo.n kii sej sajaayii hai dil ke khaalii diivaaro.n par ik tasaviir banaayii hai tasaviiro.n pe marataa huu.N, vaqt guzaaraa karataa huu.N mai.n mahabuub kii galiyo.n kaa,koii aashiq badanaam nahii.n jaan-e-man jaan-e-man ... kal kii baat Kudaa jaane par aaj talaq ye baat nahii.n dil pe baadal chhaaye hai.n par aa.Nkho.n me.n barasaat nahii.n aisaa mai.n diivaanaa huu.N, aisaa mai.n mastaanaa huu.N pyaas to hai in ho.nTho.n par, lekin haatho.n me.n jaam nahii.n jaan-e-man jaan-e-man ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.