giitaayan An Interface to ISB

hai bahut dino.n kii baat - Bhaabhi (1957)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Chitragupta | Singer(s): Manna De, Rafi, S D Batish, chorus 
View in Nagari (Hindi)
ma: ho ho o o hai bahut dino.n kii hai bahut dino.n kii baat thaa ek majanuu.N, aur ek lailaa khaa baiThe the tiir nazar kaa, dono.n pahalaa pahalaa jism the do, par ek thii jaan ek duuje par, the qurbaan ek shamaa thii, ik parawaanaa ik diiwaanii, ik diiwaanaa ja.ngal ja.ngal, bastii bastii majanuu.N pyaar kaa maaraa aaTho.n pahar lagaataa rahataa lailaa naam kaa naaraa ba : (lailaa lailaa pukaaruu.N mai.n ban me.n morii lailaa basii more man me.n)- 2 ma: haa.N a aa a aa a aa dil ke aaiine me.n hai tasviir-e-yaar ho o o o jab zaraa gardan jhukaa_ii dekh lii ba: (lailaa lailaa pukaaruu.N mai.n ban me.n morii lailaa basii more man me.n)- 2 ko: ai majanuu.N diiwaanaa- 2 ra: haaye patthar se naa maaro, mere diiwaane ko- 2 do gha.Dii sun lo zaraa, pyaar ke afasaane ko haaye patthar se naa maaro, mere diiwaane ko jaan le lo merii yaa, meraa kalejaa le lo- 2 mere majanuu.N ko na chhe.Do, merii duniyaa le lo haaye merii duniyaa le lo, hoye merii duniyaa le lo qais ke badale me.n, taiyaar huu.N mar jaane ko haaye patthar se naa maaro mere diiwaane ko ba: lailaa ra: qais ba: lailaa ra: haaye qais ma: haa.N a aa a aa aa.n ulfat kaa jab mazaa hai ki vo bhii ho beqaraar dono taraf ho aag baraabar lagii huii ba: lailaa ra: qais ba: lailaa ra: haaye qais duniyaa vaalo tumhe.n pyaar kii duhaa_ii hai- 2 sab kuchh haar ke, jholii pasaar ke pyaar kii bhiikh lene aaj lailaa aayii hai duniyaa vaalo tumhe.n pyaar kii duhaa_ii hai- 2 ho jaaye jo majanuu.N meraa, kyaa biga.Degaa duniyaa teraa yaar milaa de meraa, yaar ha.Nsaa de meraa pyaar kii bhiikh lene, aaj lailaa aa_ii hai duniyaa vaalo.n tumhe.n pyaar kii duhaa_ii hai- 2 ma: lekin ye beraham zamaanaa dilawaalo.n kii baat naa maanaa ko : o ho ho o ho ho o ho ho ma: are lailaa majanuu.N dono.n mar gaye ko: o oo o oo o oo ma: mar ke bhii vo naam to kar gaye ko: o oo o oo o oo ma: jo nahii.n milate is jahaan me.n mil jaate hai.n aasamaan me.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.