giitaayan An Interface to ISB

jise paayaa wo saaz-e-zi.ndagii ka ek sholaa thaa - (Non-film)  

Lyrics: Zafar Gorakhpuri | Music: C K Chauhan | Singer(s): Talat Mahmood 
View in Nagari (Hindi)
jise paayaa wo saaz-e-zi.ndagii ka ek sholaa thaa mai.n tere shahar me.n ai dost pahalii baar aayaa thaa mai.n apane dil ke har kone me.n har zarre me.n jhaa.Nk aayaa yahaa.N koii nahii.n koii nahii.n mere siwaa ab tak yahaa.N mai.n kal bhii tanhaa thaa yahaa.N mai.n ab bhii tanhaa huu.N wahii aa.Nsuu wahii aahe.n wahii dil kii ghuTan ab tak wahii Gam phir mujhe ab duur se aawaaz detaa hai jo mujhako ek din is shahar tak pahu.Nchaane aayaa thaa pahaa.Dii waadiyo.n ke biich mere gaa.Nv kii maaTii mujhe parades ke Gam se chhu.Daa letii to achchhaa thaa mai.n ik chalataa huaa laashaa huu.N in a.njaan galiyo.n me.n tuu is laashe ko siine se lagaa letii to achchhaa thaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.