so_e hue hai.n chaa.Nd aur taare
aaj kii raat a.Ndhiyaarii (2)
tum baiThii ho paas hamare
so_ii hai phulavaarii (2)
(jin aa.Nkho.n me.n laaj bharii thii
wo bhii hai matawaarii) - 2
ab to itanaa kah do pyaarii
mai.n huu.N tumharii (2)
(ik duuje ko paa ke ham tum
bahut mile sharamaa ke ham tum) - 2
yuu.N hii rahe to rah jaa_e.Ngii
man kii baate.n man me.n saarii
ab to itanaa kahado pyaarii
mai.n huu.N tumharii (2)
(ye rut tumako ta.Dapaa_egii
phir ye raat nahii.n aa_egii) - 2
prem milan kii in gha.Diyo.N par
laakh bahaare.n vaarii (2)
ab to itanaa kahado pyaarii
mai.n huu.N tumharii (2)
|