giitaayan An Interface to ISB

jab chhaaye kabhii saawan kii ghaTaa - Reshmi Roomal (1961)  

Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan | Music: Babul | Singer(s): Talat Mahmood 
View in Nagari (Hindi)
jab chhaa_e kabhii saawan kii ghaTaa ro ro ke na karanaa yaad mujhe ai jaan-e-tamannaa Gam teraa kar de na kahii.n barabaad mujhe jab chhaa_e kabhii saawan kii ghaTaa (jo mast bahaare.n aa_ii thii.n vo ruuTh ga_ii.n us gulashan se) -2 jis gulashan me.n do din ke li_e qismat ne kiyaa aabaad mujhe jab chhaa_e kabhii saawan kii ghaTaa (vo raahii huu.N pal bhar ke li_e jo zulf ke saa_e me.n Thaharaa)/-2 ab leke chalii hai duur kahii.n ai ishq terii bedaad mujhe jab chhaa_e kabhii saawan kii ghaTaa (ai yaad-e-sanam ab lauT bhii jaa kyo.n aa ga_ii tuu samajhaane ko) -2 mujhako ye meraa Gam kaafii hai tuu aur na kar naashaad mujhe jab chhaa_e kabhii saawan kii ghaTaa ro ro ke na karanaa yaad mujhe ai jaan-e-tamannaa Gam teraa kar de na kahii.n barabaad mujhe jab chhaa_e kabhii saawan kii ghaTaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.