dono: ek chamelii ke ma.N.Dave tale-2
maikade se zaraa duur us mo.D par-2
do badan pyaar kii aag me.n jal gaye
ek chameli ... -2
rafii: pyaar harf-e-vafaa, pyaar unakaa Kudaa-2
pyaar unakii chitaa, aa aa aa aa
dono: do badan pyaar kii aag me.n jal gaye-2
ek chameli ... -2
dono: os me.n bhiigate, chaa.Ndanii me.n nahaate hue-2
jaise do taazaa-ruu, taazaadam phuul, pichhale pahar -2
Tha.NDii Tha.NDii subuk-ruu chaman kii havaa-2
sar pe maatam huii -3
rafii: kaalii kaalii laTo.n se lipaT, garm ruKsaar par
ek pal ke liye ruk gayii
dono: do badan pyaar kii, aag me.n jal gaye-2
ek chameli ... -2
aa aa
dono: hamane dekhaa unhe.n din me.n aur raat me.n
nuur-o-zulmaat me.n
hamane dekhaa unhe.n
hamane dekhaa unhe.n ... zulmaat me.n
rafii: masjido.n kii miinaaro.n ne dekhaa unhe.n
aashaa: mandiro.n ke kivaa.Do.n ne dekhaa unhe.n
rafii: maikade kii daraa.Do.n ne dekhaa unhe.n
dekhaa unhe.n-2
dono: do badan pyaar kii aag me.n jal gaye-2
ek chameli ... -2
aa aa
dono: ye bataa chaaraagar terii zambiil me.n, terii zambiil me.n
ye bataa chaaragar
ye bataa chaaraagar terii zambiil me.n, terii zambiil me.n
rafii: nusKaa-e-kiimiyaa-e-muhabbat bhii hai
aashaa: nusKaa-e-kiimiyaa-e-muhabbat bhii hai
rafii: kuchh ilaaj-o-madaavaa-e-ulfat bhii hai
ulfat bhii hai -2
dono: do badan pyaar kii aag me.n jal gaye -2
ek chameli ... -2
|