giitaayan An Interface to ISB

duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa - Afsaanaa (1951)  

Lyrics: S K Deepak | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
pratham bhaag: duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii tuu ne kah dii maine kah dii duniyaa ek kahaanii is duniyaa ke mele me ko_ii raajaa hai ko_ii raaNii is mele me.n haar jiit hai aur mele kaa mel is mele me.n u.Dan khaTole haathii gho.De rel kahii.n hi.nDole kahii.n tamaashe tarah tarah ke khel is mele me.n paanaa khonaa jiivan bahataa paanii hariyat le lo pariyat le lo le lo cha.ndaa taaraa aao chunnu aao munnu le lo nayaa gubbaaraa muniyaa raanii hame.n bataa do kyaa hai naam tumhaaraa kas kar Dor paka.Danaa biTiyaa mat karanaa naadaanii is dhaage me ba.Ndhii rahegii terii priit puraanii aaj yahaa.N kal kahaa.N hame.n le jaayegii taqadiir kaun kahe kisakii aa.Nkho.n me.n kab bhar aaye niir ek baar jo kisii priit kii miTatii nahii.n lakiir bhuul na jaanaa bhaTak na jaanaa bhaayaa aanii-jaanii duusaraa bhaag: duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii tuu ne kah dii maine kah dii duniyaa ek kahaanii is duniyaa ke mele me.n ko_ii raajaa hai ko_ii raaNii duur desh se pa.nchhii aayaa milataa nahii.n baseraa abhii talak usakii aa.Nkho.n me.n chaayaa hu_aa a.Ndheraa aa.Ndhii ne inake tinako.n ko chaaro.n or bakheraa banii hu_ii hai ik afasaanaa terii yaad puraanii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.