piiyuuSh:
(ek bakhat kii baat bataae.N ek bakhat kii
jab sahar hamaaro so gayo tho wo raat gajab kii) 2
(chahuu.N or sab or disaa se laalii chhaaii re
juganii naache chuunar o.Dhe khuun nahaaii re) 2
sab oro.n gullaal put gayo sab oro.n me.n
he sab oro.n gullaal put gayo bipadaa chhaaii re~
(jis raat gagan se khoon kii baaris aaii re
jis raat sahar me.n khoon kii baaris aaii re) 2
koras:
saraabor ho gayo sahar aur saraabor ho ga_ii dharaa
saraabor ho gayo re jatthaa i.nsaano.n kaa pa.Daa-pa.Daa
sabhii jagat ye puuchhe thaa jab itanaa sab kuchh ho rayo tho
to sahar hamaaraa kaahe baai saa aa.Nkh muu.Nd ke so rayo tho
pii:
ho sahar yo bolyo nii.nd gajab kii aisii aaii re~
jis raat gagan se khoon kii baaris aaii re
jis raat sahar me.n khoon kii baaris aaii re -2
swaana.nd:
sannaaTaa viiraanaa
Khaamoshii anajaanii
pii:
zi.ndagii letii hai
karavaTe.n tuufaanii
swaa:
ghirate hai.n saaye ghanere se
ruukhe baalo.n ko bikhere se
pii:
ba.Dhate hai.n a.Ndhere pishaacho.n se
kaa.Npe hai jii unake naacho.n se
swaa:
kahii.n pe wo juuto.n kii khaT-khaT hai
pii:
kahii.n pe alaawo.n kii chaT-paT hai
swaa:
kahii.n pe hai jhii.ngur kii aawaaze.n
pii:
kahii.n pe wo nalake kii Tap-Tap hai
swaa:
kahii.n pe wo khaalii-sii khi.Dakii hai
pii:
kahii.n wo a.Ndherii-sii chimanii hai
swaa:
kahii.n hilate pe.Do.n kaa jatthaa hai
pii:
kahii.n kuchh mu.NDero.n pe rakkhaa hai re re re~
ho ho ho ho ho ~
dono.n:
sunasaan galii ke nukka.D par jo koii kuttaa chiikh chiikh kar rotaa hai
jab laimp-posT kii ga.Ndalii piilii ghupp roshanii me.n kuchh-kuchh-saa hotaa hai
jab koii saayaa Khud ko tho.Daa bachaa-bachaa kar Gum saayo.n me.n khotaa hai
jab pul ke khambho.n ko gaa.Dii kaa garm ujaalaa dhiime-dhiime dhotaa hai
koras:
(tab shahar hamaaraa sotaa hai) 3
ho ho o ho ho ~
pii. aur swaa.:
jab shahar hamaaraa sotaa hai to maaluum tumako haa.N kyaa kyaa kyaa hotaa hai
idhar jaagatii hai.n laashe.n zi.ndaa ho murdaa udhar zi.ndagii kotaah hai
idhar chiikhatii hai ik hawwaa Khairaatii us aspataal me.n bifarii-sii
haath me.n usake agale hii pal garm maa.Ns kaa narm lotha.Daa hotaa hai
idhar ugii hai.n taqaraare.n jismo.n ke jhaT-paT len-den me.n uu.Nchii-sii
udhar ghaav se risate Khuu.N ko duur guzaratii aa.Nkhe.n dekhe.n rukhii-sii
swaa:
lekin usako leke ra.ng bira.nge mahalo.n me.n gu.njaaish hotii hai
pii:
nashe me.n Duube zehan se Khuu.Nkhaar chuTakulo.n kii paidaaish hotii hai
swaa:
adhana.nge jismo.n kii dekho lipii-putii-sii lagii numaaish hotii hai
pii:
laar Tapakate cheharo.n ko kuchh shaitaanii karane kii Khwaahish hotii hai
koras:
wo puuchhe hai.n hairaa.N hokar aisaa sab kuchh hotaa hai kab
pii:
wo batalaao to unako aisaa tab tab tab tab hotaa hai
koras:
(jab shahar hamaaraa sotaa hai) 3
ho ho o ho ho ~
|