giitaayan An Interface to ISB

aaj kii raat aaj kii raat chaa.Ndanii a.ng me.n aag lagaaye - Kavi Kaalidaas (1959)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: S N Tripathi | Singer(s): Usha, Sabita Banerjee 
View in Nagari (Hindi)
sa: jise banaayaa khevanahaaraa, vahii aaj kar gayaa kinaaraa apanaa banaake aaj kisiine luuT liyaa re bhaagya hamaaraa aaj kii raat aaj kii raat chaa.Ndanii a.ng me.n aag lagaaye chakorii jhar jhar niir bahaaye aaj meraa chandaa nahii.n hai saath aaj kii raat ... u: aa~ aa ha haa aa ha haa aa ha haa aaj kii raat aaj kii raat magan man mand mand muskaaye chakorii man me.n khil khil jaaye aaj meraa chandaa hai mere saath aaj kii raat ... sa: basantii Rut nayano me.n aaj kii paavas ban ke chhaa_ii hai niraalii ye puunam kii raat amaavas ban ke aayii hai kise nayanan kaa niir dikhaa_uu.N kise mai.n man kii piir bataa_uu.N aaj meraa chandaa nahii.n hai saath aaj kii raat ... u: aaj kyo.n bajate sananan chhun mere paa.Nv kii ye paayal nayan me.n kaun samaayaa re bikharane lagaa meraa kaajal aaj mai.n giit priit ke gaa_uu.N kabhii sharamaa_uu.N, kabhii musakaa_uu.N aaj meraa chandaa hai mere saath aaj kii raat ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.