giitaayan An Interface to ISB

duniyaa vaalo.n se duur, jalane vaalo.n se duur - Ujaalaa (1959)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Mukesh, Lata 
View in Nagari (Hindi)
duniyaa vaalo.n se duur, jalane vaalo.n se duur aajaa aajaa chale.n, kahii.n duur, kahii.n duur, kahii.n duur ye pyaar kaa jahaa.N hai, har dil pe maharabaa.N hai kuchh aur ye zamii.n hai, kuchh aur aasamaa.N hai na zulm kaa nishaa.N hai, na Gam kii daastaa.N hai har koii jisako samajhe, vo pyaar kii zubaa.N hai duniyaa vaalo.n se duur ... ulfat kii raaginii me.n, mastaanii beKudii me.n so jaaye.nge do dil, ulfat kii chaa.Ndanii me.n phir kyaa karegii duniyaa, jal jal maregii duniyaa taaro.n me.n do sitaare dekhaa karegii duniyaa duniyaa vaalo.n se duur ... haatho.n me.n haath Dale, Kud ko bhii na sambhaale nikale.nge ham jidhar se, ho jaaye.nge ujaale chandaa kahegaa ha.Nsakar, siine pe haath rakh kar vo jaa rahe hai.n dekho, do pyaar karane vaale duniyaa vaalo.n se duur ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.