giitaayan An Interface to ISB

ham tere pyaar me.n saaraa aalam kho baiThe - Dil Ek Mandir (1963)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
ham tere pyaar me.n saaraa aalam kho baiThe hai.n, kho baiThe tum kahate ho ki aise pyaar ko bhuul jaao, bhuul jaao ham tere pyaar me.n saaraa aalam ... pa.nchhii se chhu.Daakar usakaa ghar, tum apane ghar par le aae ye pyaar kaa pi.njaraa man bhaayaa, ham jii bhar-bhar kar musakaae jab pyaar huaa is pi.njare se, tum kahane lage aazaad raho ham kaise bhulaae.N pyaar teraa, tum apanii zubaa.N se ye na kaho ab tumasaa jahaa.N me.n koii nahii.n hai, ham to tumhaare ho baiThe tum kahate ho ki ... is tere charaN kii dhuul se hamane apanii jiivan-maa.Ng bharii jab hii to suhaagan kahalaaii, duniyaa kii nazar me.n pyaar banii tum pyaar kii su.ndar muurat ho, aur pyaar hamaarii puujaa hai ab in charaNo.n me.n dam nikale, bas itanii aur tamannaa hai ham pyaar ke ga.ngaajal se balamajii, tan-man apanaa dho baiThe tum kahate ho ki ... sapano.n kaa darpan dekhaa thaa, sapano.n kaa darpan to.D diyaa ye pyaar kaa aa.Nchal hamane to, daaman se tumhaare baa.Ndh liyaa ye aisii gaa.NTh hai ulfat kii, jisako na koii bhii khol sakaa tum aan base jab is dil me.n, dil phir to kahii.n naa Dol sakaa o pyaar ke saagar, ham terii laharo.n me.n naav Dubo baiThe tum kahate ho ki ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.