giitaayan An Interface to ISB

meraa naam raajuu gharaanaa anaam - Jis Desh Mein Ganga Behti Hai (1960)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
meraa naam raajuu gharaanaa anaam bahatii hai ga.ngaa jahaa.N meraa dhaam meraa naam raajuu ... kaam naye nit giit banaanaa giit banaa ke jahaa.N ko sunaanaa koii na mile to akele me.n gaanaa kaviraaj kahe, na ye taaj rahe na ye raaj rahe, na ye raaj_gharaanaa priit aur priit kaa giit rahe kabhii luuT sakaa na koii ye khazaanaa meraa naam raajuu ... dhuul kaa ik baadal alabelaa nikalaa huu.N apanii safar me.n akelaa chhup-chhup dekhuu.N mai.n duniyaa kaa melaa kaahe maan kare, abhimaan kare naadaan tujhe ik din to hai jaanaa Dafalii uThaa aavaaz milaa gaa mil ke mere sa.ng prem taraanaa meraa naam raajuu ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.