giitaayan An Interface to ISB

mere man ha.Nsate hue chal - Mashal (1950)  

Lyrics: Pradeep | Music: S D Burman | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aaj nahii.n to kal bikhar jaaye.nge ye baadal ha.Nsate hue chal mere man ha.Nsate hue chal biitii hu_ii baato.n pe biitii hu_ii baato.n pe ab rone se kyaa phal ha.Nsate hue chal mere man ha.Nsate hue chal guzar chukaa hai jo zamaanaa guzar chukaa hai jo zamaanaa tuu bhuul jaa usakii dhun jo aanevaale din hai.n unakii aavaaz ko sun mujhe pataa hai ba.De ba.De tuufaan hai.n tere saamane khushii khushii tuu sahataa jaa jo kuchh bhii diyaa hai raam ne apanii tarah kitano.n ke yahaa.N TuuT chuke hai.n mahal ha.Nsate hue chal mere man ha.Nsate hue chal phuulo.n kaa seharaa baa.Ndhanevaale is duniyaa me.n anek jo kaa.NTo.n kaa taaj pahan le vo laakho.n me.n ek mere man vo laakho.n me.n ek gire bijaliyaa.n gire bijaliyaa.n gire bijaliyaa.n phir bhii apanii Tek(?) se tuu mat Tal ha.Nsate hue chal mere man ha.Nsate hue chal merii muhabbat aaj jalaanaa sa.mbhal ke zaraa chiraag merii muhabbat aaj jalaanaa sa.mbhal ke zaraa chiraag mai.n kaaGaz ke ghar me.n baiThii lag na jaaye aag lag na jaaye aag merii qismat me.n lag na jaaye daag merii izzat me.n is desh kii naarii ko is desh kii naarii ko ko_ii kah na de durabal ha.Nsate hue chal mere man ha.Nsate hue chal
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.