giitaayan An Interface to ISB

o raat ke musaafir chandaa zaraa bataa de - Miss Mary (1957)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
o raat ke musaafir chandaa zaraa bataa de meraa qusuur kyaa hai, tuu faisalaa sunaa de hai bhuul koii dil kii aa.Nkho.n kii yaa Kataa hai kuchh bhii nahii.n to phir kyo.n mujhase koii khafaa hai ma.nzuur hai vo mujhako jo kuchh bhii tuu sazaa de meraa qusuur kyaa hai ... dil pe kisii ko apane qaabuu nahii.n rahaa hai ye raaz mere dil se aa.Nkho.n ne hii kahaa hai aa.Nkho.n ne jo hai dekhaa dil kis tarah bhulaa de meraa qusuur kyaa hai ... o chaa.Nd aasamaa.n ke, dam bhar zamii.n pe aajaa bhuulaa huaa hai raahii, tuu raastaa dikhaa jaa bhaTakii huii hai naiyaa saahil ise dikhaa de meraa qusuur kyaa hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.