giitaayan An Interface to ISB

rum jhum barase baadaravaa - Rattan (1944)  

Lyrics: D N Madhok | Music: Naushad | Singer(s): Zohra Bai Ambalewali 
View in Nagari (Hindi)
rum jhum barase baadaravaa, mast havaa_e.n aa_ii piyaa ghar aajaa aajaa, piyaa ghar aajaa ho rum jhum barase baadaravaa, mast havaa_e.n aa_ii piyaa ghar aajaa aajaa, piyaa ghar aajaa kaale kaale baadal ghiir ghiir aa gaye aa gaye aise me.n tum jaake julamvaa Dhaa gaye, Dhaa gaye saavan kaise biite re mai.n kahaa.N tum kahaa.N, ho more raajaa aajaa ho more raajaa rum jhum barase baadaravaa ... mujh birahan ke haal pe baadal rote hai.n, rote hai.n baalam hamare aa.Nkh muu.Nd kar sote hai.n, sote hai.n hamako nii.nd na aaye re yaad sataaye torii, mukh dikhalaajaa aajaa mukh dikhalaajaa rum jhum barase baadaravaa ... kaa karuu.N aiso.n se ulfat ho ga_ii, ho ga_ii unake mast alast nain me.n kho ga_ii, kho ga_ii pyaase dono.n nainanavaa pyaasaa joban moraa, morii kasam aajaa aajaa morii kasam aajaa ho rum jhum barase baadaravaa, mast havaa_e.n aa_ii piyaa ghar aajaa aajaa, piyaa ghar aajaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.