giitaayan An Interface to ISB

taaro.n kii zubaa.N par hai muhabbat kii kahaanii - Nausherwaan-e-Aadil (1957)  

Lyrics: Parvez Shamsi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
#Lata:# taaro.n kii zubaa.N par hai muhabbat kii kahaanii ai chaa.Nd mubaarak ho tujhe raat suhaanii #Both:# taaro.n kii zubaa.N par hai muhabbat kii kahaanii ai chaa.Nd mubaarak ho tujhe raat suhaanii #Rafi:# kahate hai.n jise chaa.Ndanii hai nuur-e-muhabbat -2 #Lata:# taaro.n se suneharii hai hameshaa terii qismat -2 #Rafi:# jaa jaa ke palaT aatii hai phir terii javaanii #Both:# ai chaa.Nd mubaarak ho tujhe raat suhaanii #Rafi:# chhaayaa huaa duniyaa pe muhabbat kaa asar hai -2 #Lata:# kahate hai.n jise chaa.Nd meraa daaG-e-jigar hai -2 #Rafi:# taaro.n se kahaa karataa hai ye dil kii kahaanii #Both:# ai chaa.Nd mubaarak ho tujhe raat suhaanii #Rafi:# ham ho na ho duniyaa yuu.N hii aabaad rahegii -2 #Lata:# ye ThaNDii havaa aur ye fizaa yaad rahegii -2 #Both:# rah jaa_egii duniyaa me.n muhabbat kii nishaanii #Both:# ai chaa.Nd mubaarak ho tujhe raat suhaanii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.