giitaayan An Interface to ISB

ye afasaanaa nahii.n hai - Mehndi (1958)  

Lyrics: Qamil Rashid | Music: Ravi | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
bharii mahafil hai aur ab ra.ng par mahafil bhii aayii hai uThii hai huuq bhii dil se to dil hii me.n dabaayii hai magar jab dil dukhaayaa hai to lab tak baat aayii hai ye afasaanaa nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai.n ye afasaanaa nahii.n hai ... jo samajho to janaaze hai.n jo dekho to baraate.n hai.n ye afasaanaa nahii.n hai ... hai gustaaKii magar kahanaa hai kuchh duniyaa se, mardo.n se shariifo.n manachalo.n mullaaho.n se avaaraagardo.n se hai bepardaa magar taane diye jaate hai.n pardo.n se ye afasaana nahii.n hai ... jo sach puuchho tumhii.n mardo.n ne ye koThe sajaaye hai.n hasii.n baazaar tumane apne haatho.n se lagaaye hai.n tumhaarii hii badaulat ham bhii is mahafil me.n aaye hai.n ye afasaana nahii.n hai ... ye kyaa duniyaa hai ham se har gha.Dii nafarat jataatii hai buraa kahatii hai ham ko phir buraa_ii karane jaatii hai hame.n duniyaa kii is be-gairatii par sharm aatii hai ye afasaana nahii.n ai sunanevaalo.n dil kii baate.n hai.n siyaahii Gam kii hai vaise ba.Dii ra.ngiin raate.n hai ye afasaana nahii.n hai ... tum apni biwiyon ko chhodkar koThon pe jaate ho tum apne ghar ki daulat ko wahaan jaaker lutaate ho khushaamadi *naazubaldaari* par tum jooti bhi khaate ho khushaamadi *naazubaldaari* par tum jooti bhi khaate ho ye afsaana nahii.nhai jo samjho thaap tabaley ki to ye munh par tamaache hai ye saarangi ke taaron par dilon ke taar bajate hain yahan insaaniyat khud naachti hai ham nachaate hain ye afsaana nahii.nhai ye jo koThe ki mallika hai ye jo koocho ki raani hai jo paDh sakte ho paDh lo ye tumhaari hi kahaani hai jo paDh sakte ho paDh lo ye tumhaari hi kahaani hai samaaj-o-kaum ki be-aabrooyi ki nishaani hai samaaj-o-kaum ki be-aabrooyi ki nishaani hai ye afsaana nahii.nhai arey o zindagi ke Thekedaaron kuchh to sharmaao uThaakar husn ka bazaar apne ghar me.n le jaao arey o zindagi ke Thekedaaron kuchh to sharmaao uThaakar husn ka bazaar apne ghar me.n le jaao sahara do sahara do aur inko ma behen beti kehalwaao sahara do sahara do aur inko ma behen beti kehalwaao ye afsaana nahii.nhai ye afsaana nahii.naiye sunanewaalo dil ki baate.n hain siyaahi gham ki hai waise badi rangeen raate.n hai ye afsaana nahii.nhai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.