giitaayan An Interface to ISB

ham hai.n tere diivaane gar tuu buraa na maane - Shabistaan (1951)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Talat, Geeta, Chitalkar 
View in Nagari (Hindi)
ham hai.n tere diivaane gar tuu buraa na maane kisse hai.n ye puraane gar tuu buraa na maane ye goraa goraa mukha.Daa ye chaa.Nd sii javaanii dharatii pe jaise aayii ik aasamaa.N kii raanii are hamako chalaa banaane, gar tuu buraa na maane ham hai.n tere diivaane ... pahalii nazar me.n tum ne apanaa banaa liyaa hai ab apane nazar se puuchho meraa qusuur kyaa hai are ye hai.n tere bahaane, gar tuu buraa na maane ham hai.n tere diivaane ... sapane sajaa sjaa kar ik mahala mai.n banaa_uu.N raanii tumhe.n banaa kar us me.n tumhe.n biThaa_uu.N ye to hai.n jel_khaane, gar tuu buraa na maane ham hai.n tere diivaane ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.