giitaayan An Interface to ISB

mai.n ne bhii husn kii nazaro.n me.n jagah paayii hai - Wanted (1961)  

Lyrics: Shakeel | Music: Ravi | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
mai.n ne bhii husn kii nazaro.n me.n jagah paayii hai tum mile ho to muhabbat se bahaar aayii hai mere siine pe zaraa haath to rakh kar dekho dil kii dha.Dakan ye nahii.n pyaar kii shehanaa_ii hai ye hasii.n ruup ye zulfo.n ke nashiile saaye jaise bhar puur qayaamat pe shabaab aa jaaye ruK se parde ko zaraa der haTaa rahane do tum ko dekhegaa vahii jis kii qazaa aayii hai mere siine pe zaraa ... dil to kyaa jaan bhii mai.n tum pe luTaa sakataa huu.N zi.ndagii maut ke parde me.n chhupaa sakataa huu.N mujhe Gam do ki khushii ab hai tumhaarii marzii mai.n ne to ishq me.n miTane kii qasam khaayii hai mere siine pe zaraa ... ishq kii raah me.n saahil bhii hai tuufaan bhii hai.n is me.n izzat bhii hai rusavaa_ii ke saamaan bhii hai.n merii jaan duniyaa.N ke Dar se na badal jaanaa tuu kyo.n kii ab mil ke na milane me.n bhii rusavaa_ii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.