giitaayan An Interface to ISB

tuu mere pyaar kaa phuul hai - Dhool Ka Phool (1959)  

Lyrics: Sahir | Music: N Dutta | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(tuu mere pyaar kaa phuul hai ke merii bhuul hai kuchh kah nahii.n sakatii par kisii kaa kiyaa tuu bhare ye sah nahii.n sakatii) - 2 (merii badanaamii tere saath palegii, saath palegii sun sun taane merii kokh jalegii, haay, kokh jalegii) - 2 kaa.NTo.n bhare hai.n sab raaste tere vaaste jiivan kii Dagar me.n kaun banegaa teraa aasaraa bedard nagar me.n tuu mere pyaar kaa phuul hai ke merii bhuul hai kuchh kah nahii.n sakatii par kisii kaa kiyaa tuu bhare ye sah nahii.n sakatii (puuchhegaa ko_ii to kise baap kahegaa, baap kahegaa jag tujhe phe.nkaa hu_aa paap kahegaa, haaye, paap kahegaa) - 2 banake rahegii sharmindagii terii zi.ndagii jab tak tuu jiyegaa aaj pilaauu.n tujhe duudh mai.n, kal zahar piyegaa tuu mere pyaar kaa phuul hai ke merii bhuul hai kuchh kah nahii.n sakatii par kisii kaa kiyaa tuu bhare ye sah nahii.n sakatii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.