giitaayan An Interface to ISB

aaraam ke the saathii kyaa kyaa - Sipahiya (1949)  

Lyrics: Arzoo Lucknowi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
bharosaa kar na daulat par na suurat par na chaahat par ye duniyaa hai sadaa rahatii nahii.n jo ek haalat par aaraam ke the saathii kyaa kyaa jab vaqt pa.Daa to ko_ii nahii.n sab dost hai.n apane matalab ke duniyaa me.n kisii kaa ko_ii nahii.n kal chalate the jo ishaaro.n par kal chalate the jo ishaaro.n par ab milatii nahii.n hai unakii nazar ab milatii nahii.n hai unakii nazar yaa chaahanevaale laakho.n the yaa puuchhanevaalaa ko_ii nahii.n aaraam ke the saathii kyaa kyaa jab vaqt pa.Daa to ko_ii nahii.n jab vaqt pa.Daa to ko_ii nahii.n jaisaa ki hai mujh par vaqt pa.Daa jaisaa ki hai mujh par vaqt pa.Daa aisaa na ko_ii bebas hogaa aisaa na ko_ii bebas hogaa jiine ko sahaaraa ko_ii nahii.n marane ko bahaanaa ko_ii nahii.n aaraam ke the saathii kyaa kyaa jab vaqt pa.Daa to ko_ii nahii.n jab vaqt pa.Daa to ko_ii nahii.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.